Kabhi Maa Yaad Aaoon To,
Kabhi Tanhaaii Ke Lamhe,
Tumhein Zyada Sataayein To,
Kabhi Koyal Na Bole To,
Aur Jugnuu Laut Jaayein To,
Kabhi Jab Dil Bhi Bher Jaaye,
Koi Jab Sun Na Paaye To,
Ager Sab Dost Saathi Bhi,
Jo Tum Se Rooth Jaayein To,
Kabhi Jab Khud Se Lar Lar Kar,
Thakan Se Choor Ho Jaao,
Kabhi Chaahte Huye Bhi Khud Akaile,
Ro Na Paao To,
Apni Aankhon Ko Band Karna,
Mujhe Awaz De Daina,
Aur Phir Mere Tasavvur Se,
Jo Chaaho Baatein Keh Daina,
Mere Kaandhe Pe Sar Rakh Kar,
Tum Jitna Chaaho Ro Laina,
Phir Khud Maa Jab Laut Jaao To,
Ussi Duniya Chale Jaana,
Mager Bus Itna Khena Hay,
Ke Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Mein,
Humein Dil Se Pukaaro Ge,
Humein Tum Saath Paao Ge.

By Urooj