Kabhi Laga Aap Ki Kitab Ki Zild Main Daba Hoon
Kaun Padhega Mujh Ko
Ab Kitab Ke 1000ve Safe Par Hoon
Khud Ko Parhta Hoon To Her Chehra Nazar Ata Hain
Pagal Dil Ab Aise Logon Ko Chhod Ke Kahan Jata Hain
Aisa Lagata Hain Har Nazar Main Hoon
Har Ahsas Main Hoon
Sab Mil Gaya Mujhe Agarche Kisi Ki Talash Main Hoon
Kis Ki Talash Main?
Woh Tum Ho Jo Abhi Parh Rahe Ho Mujhe
Woh Tum Ho Jo Abhi Likh Rahe Ho Mujhe
Tumhe Lagata Hoge Tum Kaheen Bhi Nahi
Aur Mere Har Harf Main Tum Dikh Rahe Ho Mujhe
Tum Hi To Chhup Ke Mere Ander Se
Mere Bahar Kuch Likh Ke Chale Jate Ho
Tum Hi To Jo Khud Ko Parhne
Doosre Din Subah Chale Ate Ho
Tum Ho To Aise Kayee Hazar Vark Ayenge
Ham Likhte Rahnege Jiyenge Ya Mar Jayenge
Kabhi Meree Kalam Se Kabhi Tumahree Kalam Se
Tum Nahi To Kahan Kuch Likha Jayega Ham Se
Bas Yoon Hi Parhte Rahana
Bas Yoon Hi Likhte Rahana
Andhere To Ate Rahenge Jate Rahenge
Tum Mujeh Dikhjte Rahane Tum Mujhe Likhte Rahana
Ye 1000 Vee Shayree Tumhe Dene Aya Hoon
Bas Kalam(Pen) Utahyo Apnee
Main Agala Kalam(Poem) Lene Aya Hoon
Tum Mujeh Dikhjte Rahane Tum Mujhe Likhte Rahana
Mandir Main Sar Jhukaye Huye Aap Kaa Apana