Kabhi Koi Mukaam Na Bana Saka
Kabhi Kisi Manzil Ko Na Pa Saka,
Ye Aawar Sa Chaand Haan Ye Chaand
Kabhi Kisi Ke Kaam Na Aa Saka,
Ik Umr Phirta Raha
Apne Hi Usoolon Ka Bojh Uthaye,
Wo Khayalaat, Wo Jazbaat Sab Pheeke Pad Gaye
Uska Aaj Sajane Me Wo Kisi Kaam Na Aaye,
Cheron Ki Is Bheed Me
Na Jaane Kis Ek Taalaash Me Kho Gaya,
Parhne Laga Har Ek Nigaah Ko
Jamana Samjha Ke Ye Chaand Aawaara Ho Gaya,
Wo Safar Me Har Milne Waale Se
Muskurakar Nibhata Raha,
Apne Hi Dard Ke Latife Banaakar
Har Ek Ko Hasata Raha,