Kaash Waqt Ko Badal Sakta Main,
Kaash Kismat Ko Badal Sakta Main,
Agar Na Badal Jate Humare Raaste Is Tarah,
Kaash Tumhare Saath Phir Chal Sakta Main…
Kaash Phir Se Wo Rishta Paa Sakta Main,
Kaash Phir Se Wo Naam Paa Sakta Main,
Agar Yu Na Chaa Jata Andhera Charo Oor,
Kaash Phir Se Tumhari Wo Shaam Pa Sakta Main…
Kaash Wo Galtiya Sudhar Sakta Main,
Kaash Tumhara Raazdaar Ban Sakta Main,
Agar Waapas Laa Sakta Main Wo Khushiyaan,
Kaash Tumhari Hasi Ka Haqdaar Ban Sakta Main…
Kaash Wo Dooriyaan Ghata Sakta Main,
Kaash Wo Behte Ansoon Hata Sakta Main,
Agar Naa Bikhar Jaata Dil Tukroo Mai,
Kaash Is Dil Se Tera Naam Mita Sakta Main…
Kaash Un Zakhmon Ko Bhar Sakta Main,
Kaash Tairi Unkahi Ankhoon Ko Parr Sakta Main,
Agar Na Banti Wo Kasme Bandishe Mairi,
Kaash Is Tanhayi To Bayaan Kar Sakta Main…