Kaash Khawabon Mein Hi Aa Jao Bahut Tanha Hoon
Ya Mere Zehan Se Yaadon Ke Diye Gul Kar Do
Mere Ehsaas Ki Duniya Ko Mitta Do Ham Dam
Raat Taare Nahin Angaare Liye Aati Hai
In Baraste Hue Sholon Ko Bujhaa Do Ham Dam
Dil Ki Dharkan Ko Sula Jaao Bahaut Tanha Hoon
Andheri Raat Mein Jab Chaand Khilne Lagte Hain
Tumhaare Pyaar Ke Deepak Jalaa Ke Roti Hoon
Tumhaare Aane Ki Jab Aas Jaane Lagti Hai
Main In Chiraaghon Ko Khud Hi Bujha Ke Roti Hoon
Zindagi Aisi Mitta Jaao Bahut Tanha Hoon
Sochte Sochte Jab Soch Bhi Mar Jaati Hai
Waqt Ke Qadmon Ki Aahat Ko Suna Karti Hoon
Ashk Thamte Hain To Aahon Ka Dhuwan Uthti Hai
Raat Bhar Younhi Tarapta Hoon, Jala Karti Hoon
Baar- E- Gham Kuch To Ghatta Jaao Bahut Tanha Hoon