Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Meray
Tu Kahan Hai Magr Ah Dost Puranay Meray
Tu Bhi Khushboo Hai Magr Mera Tujusus Bekar
Burg-E-Awara Ki Maninth Dikhanay Meray
Shuma Ki Lau Thi Kay Wo Tu Tha Magr Hijr Ki Raat
Dair Tuk Rota Raha Koi Sirhanay Meray
Khalq Ki Bekhabaree Hai Keh Meree Ruswa’ee
Looq Mujh Ko Hi Sunatay Hein Fusanay Meray
Lut Keh Bhi Khush Hoon Keh Ashkoon Se Bhara Hai Daaman
Dekh Gharat Gare Dil Yeh Bhi Khazane Mere
Aaj Ik Aur Burs Beeth Gya Oos Kay Beghair
Jis Kay Hotay Hooay Hotay Thay Zamanay Meray
Kaash Tu Bhi Meri Awaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Saada Ne Mere
Kaash Tu Bhi Kabhi Aajaye Masiha’ee Ko
Loog Aate Hei Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaashi Auroon Ki Turhaan Mein Bhi Keh Sukta
Baat Soon Li Hai Meri, Aaj Khuda Ne Mere
To Hai Kis Haal Mein Aih Zood-Faramosh Mere
Mujh Ko Tu Cheen Lya Aihed-E Wafa Ne Mere
Chara-Gr Yoon Tu Bohut Hein Magr Aeh Jaan-E-Sahil
Juz Teray Aur Koi Zaghum Na Janay Meray