Jurm – E – Ulfat Ki Wo Khud Ku Sazaa Dete Hai
Nam Likhte Hai Mera Aur Mita Dete Hai
Tere Gum Ne Mujhe Baksha Sa Shaoor Aae Hasti
Hadse Jine Ka Aandaz Sikha Dete Hai
Ab Tu Ye Ansu Bhi Lagte Hai Sitaro Jaise
Jo Sare Shaam Meri Palko Ko Saja Dete Hai
Jab Koi Pochta Hai Tum Kis Liye Barbad Hue
Hum Usay Bas Teri Tasvir Dikha Dete Hai
Ye Mohabat Ka Nateja Hai Ke Nafrat Ka Makam
Meri Tasvir Bana Kar Wo Mitta Dete Hai
Unko Namoos Aae Mohabat Ka Zara Paas Nahi
Raaz Ulfat Ke Sare Bata Dete Hai
Hum Kaise Chupaye Ge Haal-E-Dil Apna
Chahane Waloon Ke Tu Andaaz Bata Dete Hai
Mein Usse Choor Ke Jao Tu Jaoo Kaha
Sabhi Raste Uski Manzil Ka Pata Dete Hai…