Jo Kisi Praani Ko Maare, Wo Shaitaan Hai Insaan Nahi
Mare Hue Ko Khaye Kyu? Yeh Pet Hai Shamshaan Nahi
Jo Kaanta Koi Chubh Jaaye, Tadapta Huaa Tu Chillaye
Kaate Tu Talwaaro Se, Kyu Cheekh Na Unki Sun Paaye
Dard Unhe Bhee Hota Hai, Wo Jeevit Hai Bejaan Nahi
Jo Kisi Praani Ko Maare, Wo Shaitaan Hai Insaan Nahi
Her Ek Ki Apni Satta Hai, Sabka Apna Apna Wajud Hain
Sub Hai Jeete Apne Liye, Kisi Aur Ke Liye Nahi Maujud Hain
Sabhi Ko Jaaya Hai Usne, Kaun Yahaan Prabhu Santaan Nahi
Jo Kisi Praani Ko Maare, Wo Shaitaan Hai Insaan Nahi
Her Dharma Mein Her Mazhab Mein, Bible Geeta Kuraan Mein
Ek Hai Aatma, Ek Hi Ruh, Her Pashu Mein Insaan Mein
Ahinsa Ka Nirjhar Sabme, Hinsa Ka Naam-O-Nishaan Nahi
Jo Kisi Praani Ko Maare, Wo Shaitaan Hai Insaan Nahi
Buddh Kahe, Raam Kahe, Gandhi Paigambar Peer Kahe
Jiyo Aur Jeene Do Yehi, Naanak Aur Mahaveer Kahe
Abhay Do Her Praani Ko, Abhay Sa Koi Daan Nahi
Jo Kisi Praani Ko Maare, Wo Shaitaan Hai Insaan Nahi