Jin Rahon Pe Hum Hote Hain
Unmein Pech-O-Kham Hote Hain
Sapney To Sach Kam Hote Hain
Khushi Se Zyada Gham Hote Hain
Hum Kya Jaanein Rang Badalna
Jo Badlein Mausam Hote Hain
Nasoor Pe Kya Wo Asar Karenge
Zakhmon Ke Marham Hote Hain
Khushi Dhoondna Mushkil Hai Gar
Bheed Lagaaye Gham Hote Hain
Naye Hausle Miley Hain Dil Ko
Jab-Jab Tire Sitam Hote Hain
Aadat Dhoop Ki Dalo Kyunke
Chaaon Ke Dariya Kam Hote Hain
Woh Boley Sun Ke -Ë—praveen-‘ Ko
Aisey Shayar Kam Hote Hain