Jeevan Agar Mila Hai Toh,
Koye Baath Avashya Hogi..
Milegi Maut Toh Bhi,
Koyee Baath Avashya Hogi..
Na Jeevan, Na Mrityu, Hai Haath Insaan Ke
Lekin Mila Hai Agar Jeevan Toh
Hai Su-Nishchith Mrityu Bhi,
Ismein Bhi Koye Baath Avashya Hogi..
Khushi, Gham, Gila, Shikwa, Acchayee, Burayee
Bachpan Se Vaanprasth Tak, Yahi Sab Nazar Hai Aayee
Kyu Nahi Samjha Insaa.N, Insaa.N Ka Jajbha
Khoya Hai Insaa.N Ne Insaa.N Ko, Phir Bhi Na Baath Samaj Aayee,
Kisii Ne Katin, Kisii Ne Vilasita Ki Zindagi Bhogi,
Ismein Bhi Koyee Baath Avashya Hogi..
Koyee Muqaddar Se Jiye, Kisii Ka Muqaddar Jiya,
Kisii Ne Dil Kholkar Diya, Koyee Mang-Mang Kar Jiya
Kisko Muqaddar Se Kya Mila, Muqaddar Ne Kya Le Liya, Soche Toh,
Ismain Bhi Koyee Baath Avashya Hogi..
Karte Raho Apna Karam, Na Zaath, Na Dharam,
Rakho Mann Hamesha Saaf, Na Rahe Koyee Bram
Milegi Raah, Aur Manzil Bhi,
Ismain Bhi Koyee Baath Avashya Hogi..