Jalaate Hai Hum Apne Dil Ko Diye Ki Tarah
Teri Zindagi Main Khushiyon Ki Roshni Lane Ke Liye
Seh Jate Hai Har Chubhan Ko Apne Pairon Tale
Teri Rahon Main Phool Bhichane Ke Liye
Yakin Har Rishte Ki Buniyaad Hota Hain
Toot Jaaye Agar To Judna Mushkil Hota Hain
Kehna Aasan Hain Humain Yakin Nahi Hain Tumpe
Lekin Dard Ish Cheez Ka Be-Panah Hota Hain
Aansu Ko Bahout Samjhaya Tanhai Me Aaya Karo
Mehfil Me Hamara Mazak Na Udaya Karo
Ispar Aansu Tadap Kar Bola
Itne Logo Me Apko Tanha Paate Hai
Isliye Saath Nibhane Ko Chale Aate Hai!
Darta Hun Kahin Main Pagal Na Ban Jaaaun
Teekhi Nazar Aur Sunahre Roop Ka Kayal Na Ban Jaaun
Ab Bas Bhi Kar Zalim Kuch To Raham Kha Mujhe Per
Kuch Der To Oojhal Ho Jaya Karo Nazro Se
Warna Kahin Main Shayar Na Ban Jaoin
Palkon Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi
Woh Sochte Hai Ki Hum Roye Hi Nahi
Woh Poochte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho
Aur Ek Hum Hai Ki Ek Umr Se Soye Hi Nahi