Jab Bhi Milte The Woh Mujhse
Ek Ajnabi Ki Tarah Milte The
Ajab Se Khailoyon Me Dube Hue
Khud Se Bhi Juda Nazar Aate The Woh
Shayad Unko Bhi Talash Thi Kisi Ajnabi Ki Meri Tarah
Jo Har Pal, Har Lamha Bekarar Rahte The
Kisi Ke Intezaar Mein
Main Aksar Unki Saadgi Mein
Apni Parchayian Dundha Karta Tha
Unki Khubsurat Aankhon Ke Kajal Se
Apni Ghazlon Ke Sher Likha Karta Tha
Unki Mahekti Zulfon Ke Abr Mein
Apni Kismat Ke Sitare Dekha Karta Tha
Magar Na Jane Unko Talash Thi Kis Ajnabi Ki
Jo Har Pal, Har Lamha Bekarar Rahte The
Kisi Ki Intezaar Mein
Main Aksar Socha Karta Tha Ki Aaj
Jarur Unse Dil Ki Baat Keh Dunga
Magar Jab Bhi Milte The, Woh Mujhse
Ek Janabi Ki Tarah Milte The.