Jab Bhi Koi Ristaa Kabhi Tootata Hai
Pyaar Se Thamaa Koi Hath Jab Chhotataa Hai
Dil Meraa Tujhe Karke Yaad Hota Hai Udaas
Aur Mujhse Phir Who Ek Swal Puchhata Hai
Ki Log Pyaar Kyun Karte Hai Kisi Ko
Jab Who Us Pyaar Ko Nibha Nahi Sakte
Kyun Thaamte Hai Wo Hath Apne Haatho Mein
Jin Haatho Ko Saari Umra Jinko Wo Thaam Nahi Sakte
Jyun Nahi Samjhate Wo Us Dil Ka Dard
Jo Dil Unke Haatho Yun Be-Jaar Hotaa Hai
Kisi Ke Sapno Ka Jaal Taar-Taar Hotaa Hai
Kisi Ka Saaraa Pyaar Jab Yun Bekar Hotaa Hai
Woh Saare Pal Jo Saath Bitaye They Kabhi
Jeene Nahi Dete Hai Har Pal Who Yaad Aate Hai
Tere Hone Ka Ehsaas Mujhe Har Pal Deke Jaate Hai
Sukh Chain Leke Ankho Mein Asq De Jaate Hai
Ye Rista Tootane Ka Dard Har Pal Badata Jata Hai
Marte Dam Tak Who Pyaar Har Pal Yaad Aata Hai
Ye Kash! -Ë—sakhi-‘ Phir Koi Rista Is Tarah Naa Toote
Ye Ristoin Ka Tootana Na Hamse Saha Jata Hai