Jaan Bhuj Kar Jo Bandh Kar Baithhe Hain
Man Ke Daro -— Dewaarae
Har Waqt Jo Rahte Hain, Bandh Karke
Man Ke Darwaajae Woh Chhakar Bhii
Aankhoon Main Pyaar Nahii Chhalkaate
Hathon Mai Samvedna Nahii La Paate
Aur Kach Kii Khidkiyaa Bhii Nahii Khol Sakte.
Wae Udaas Aankho Se, Sukhae Hathhon Se
Khidkiyaa Pakad Kar Khadae Rahte Hain
Haan! Wae Sirf Yahi Kar Sakte Hain
Par Yah Khadae Rahne Kii Baat?
Iska Kya Matlab Hota Hain?
Kya Bandh Khidki Ke Paas Kahdae Rah Kar
Kisi Kii Raah Dekh Sakte Hai??
Kya Bandh Darwaaje Pe
Kisi Dastak Kii Aawaj Soonai Deti Hain?