Jaam Ka Nasha Ho Ya Jannat Ka Jahan Ho
Koi Fark Nahi Hame Hum Yaha Ho Ya Vaha Ho.
Ha Tum Apane Dil Me Basate To Kuchh Aur Baat Hoti
Sitaro Ki Mahefil Ho Ya Phoolo Ka Mausam Ho
Kya Matlab Hai Mujhe Gar Baharo Ka Sama Bhi Ho.
Ha Tum Jo Chaman Mahekate To Kuchh Aur Baat Hoti.
Sunte Hai Roz Kitne Kitane Afsane Pyaar Se.
Par Maine To Chahi Thi Ek Hi Baat Dildar Se
Ha Tum Vo Baat Sunate To Kuchh Aur Baat Hoti.
Bahot Si Khusiya Mili Hai Hame Yu To…
Par In Khusiyo Se Sukun Nathi Milta Hamko…
Ha Tum Thode Gam Bhi De Jate To Kuchh Aur Baat Hoti
Kitne Hai Is Jaha Me Yu To Hamare Diwane
Bahot Mile Hamko Yaha Shama Ke Parwane
Par Tum Is Aag Me Jalaate To Kuchh Aur Baat Hoti
Hum Bhul Hi Jaate Sare Gam Bhi Hamare
Tumhari Ek Muskurahat Me Milte Sare Nazare
Agar Tum Yu Muskurate To Kuchh Aur Baat Hoti
Agar Aisi Kismat Khuda Banate To Kuchh Aur Baat Hoti