Iss Duniya Ka Khel Anokha Hai,
Har Chehre Pe Ek Mukhotta Hai,
Upar Se Bda Muskuraet Hai Kuch Log,
Tanhaiyo Mein Wo Hi Bahut Rote Hai,
Pyar Toh Samne Karenge Tumko Bahut Log,
Par Piche Se Dga De Jate Hai!
Kathputli Ki Tarah Tumhein Nachenge,
Apne Isharo Se Kaam Karvaenge,
Aur Kaam Nikal Jane Ke Baad
Kisi Purani Cheez Ki Tarah Tumhein Phenk Jaenge,
Iss Duniya Ka Yeh Khel Anokha Hai,
Har Chehre Pe Ek Mukhotta Hai….
Mat Karna Tum Vishvas Kisi Pe Ankhein Band Kar Ke,
Yahan Bhai Ka Bhai Pe Bharosa Nahi,
Roz Hote Hai Katal-E-Aam Jaidaad Kar Ke,
Maa-Baap Sari Umar Jinke Liye Kamate Hain,
Wohi Bache Unhein Ghar Se Nikal,
Vridh Ashram Mein Chodd Jate Hain,
Yahan Har Ek Rishta Jhoota Hai,
Har Cheha Pe Ek Mukhotta Hai….
Log Bahut Alag Alag Rang Dikhaenge
Aur Aant Mein Akela Tumhein Chodd Jaenge,
Ab Toh Bharose Par Bhi Dhoke Ka Ek Mukhotta Hai
Yeh Duniya Ka Khel Anokha Hai…
Har Chehre Pe Ek Mukhotta Hai!!