Ishwar Tujhme Meri Aastha
Madira Tujhpe Mera Vishwaas
Kyon Choru Mein Saath Kisika
Mujhko Hai Dono Se Aas
Tark Utha-Te Log Bohut Hai
Pur Mere To Dono Hai Khaas
Ishwar Tujhme Meri Aastha
Madira Tujhpe Mera Vishwaas
Ek Shikaayat Bus Choti Si
Shayad Sunle Woh Ardaas
Tere Dar Se Kal Seedha Pohucha
Swagat -Saaki-Sampurn-Abhaas-
Nahi Koi Bhee Fikra Kasta
Nahi Koi Kehta- Vanvaas
Ishwar Tujhme Meri Aastha
Madira Tujhpe Mera Vishwaas
Aur Wahan Se Dar Tere Fir Lauta
Uthi Ungaliyan Kitni Saath
Meri Bhakti Mein Masti Thee
Unhe Nahi Aayi Yeh Raas
Ishwar Tujhme Meri Aastha
Madira Tujhpe Mera Vishwaas
Nahi Gila Tumse He Prabhuvar
Arz Yahikarti Har Shwaas
Unhe Pyaarjaatne Ka Var Dedo
Jo Bante He Tere Daas
Gyaan Unhe Dhyaan Lagane Ka Kuch Dedo
Samajh Sake Kya Hoti -Ë—pyaas-‘
Ishwar Tujhme Meri Aastha
Madira Tujhpe Mera Vishwaas