Ik Zamanay Baad Hum Ko Roshni Achi Lagi
Saath Ab Wo Hai Tou Humko Har Khushi Achi Lagi
Baimaieni Guftugo Mei B Buhtisraar Hian
Baimaieni Guftugo Kartee Hoi Wo Achi Lagi
Saath Iskay Chaltay Chaltay Dur Itnay Gaye
Phir Koi Bhaya Nahy Bas Wohiik Achi Lagi
Wo Yeh Kehti Hai K Itni Khoobsurat Mai Nahy
Mai Yeh Kehta Hoon Tumari Saadgi Achi Lagi
Mei Tootay Lehjay Mai Jb Bhi Baat Karta Hoon Kabhi
Phir Muje Wo Hosla Deti Howi Achi Lagi
Baat Kartay Kartay Jb Khilkila Kr Hans Padi
Shookhiyoun Say Pur Hamain Yeh Hansi Uski Achi Lagi
Baatoon Hi Baaton Mai Tng Muje Kartee Hia Buhot
Istarah Is Ki Ada Mujko Kuch Aur B Achi Lagi
Haiech Iskay Saamnay Sab Hi Rang Dunya K Lagay
Sanwalay Say Rang Ki Ladki Badi Achi Lagi
Mera Khul K Hansna Is Ko Acha Lagta Hai Buhot
Jb Bhi Is Nay Yeh Baat Humko Kahi,Achi Lagi
Chain Ata Hinahy Ab Humko Ik Pal K Lye
Is Ko Bhi Barhti Mairee Deewangi Achi Lagi
Iskay Mairay Darmiyan Sey Faslay Mitnay Lagay
Pyaar Ki Barsaat Mai Wo Bheegti Achi Lagi
Issay Mil Kar Khud Say Bhi Humko Muhabbat Ho Gaie
Abtou Apni Hasti Humko Aur B Achi Lagi
Ab Kahan Tak Likhtay Jaieyega Hamari Shaan Mai
Jaan Ab Bas Kijiye ….Kehti Hui Achi Lagi
Jb Say Mairee Rooh Mai Utri Wo Manindey Ghazal
Tab Say Humko Apni Shairee Achi Lagi