Ik Kiran Ummeed Ki, Toota Sitara Ban Gaee
Saawan Ki Aaee Thee Jhari, Ashkon’ Ka Dhara Ban Gaee
Toot Ker Ik Shaakh Ki Maanind Kal Jo Gir Pari
Aaj Wo Nanhi Qalam, Fasl E Baharan’ Ban Gaee

Ik Zara Se Deep Main Duniya Jahan Ka Husn Tha
Aaj Teri Ik Nazar, Misl E Nazara Ban Gaee
Ab Waqt Khushiyan Laega Gham Ka Zamana Tham Gaya
Yeh Aas Thamti Saans Tak Dil Ka Sahara Ban Gaee
Janay Kis Manzil Ki Khatir Chal Diye Kashti Liye
Aarzoo Kee Nao Khud Apna Kinara Ban Gaee
Ik Teri Ummeed Pe Qaaim Hai Apni Zindagi
Toot Bhi Gar Yeh Gaee To Wasl E Yaran Ban Gaee