Humne Mehboob Ki Aankhon Par
Haathon Ko Apne Rakh Kar Dekha
Nafraat Ke Aangaaro Ko Jab Unki
Nazaron Mein Dehekta Dekhaa
Aur Unhi Haathon Ko Dil Par Rakh Kar
Apni Hasraton Ko Khud Apni Aankhon Se Jaltaa Dekhaa
Chand Ki Tarah Humne Pyar Ko Bhi Marrtaa Dekha
Ek Ajnabi Si Nazar Deewar Ko Bhedti Hui
Ek Ukhdi Hui Saans Jigar Ko Chedti Hui
Khud Ki Talaash Mey Bhatak Rahi Hai Ruhh
Do Pal Ka Bhi Nahin Jaise Mere Naseeb Mey Sukoon
Ghar Ke Saajo-Samaan Ko Khud Par Humne Haste Dekha
Apne Wajood Ko Bhi Sajawat Ka Saamaan Bante Dekha
Harr Rishte Par Ek Maut Khud Ki Paayi Hai
Bazaar Mey Jaise Boli Khud Apni Lagayi Hai
Koi Zeher Jaise Apne Haathon Pee Liya Humne
Zehar Pee Ke Bhee Magar Kaise Jee Liya Humne
Khuli Aankhon Sey Kaisa Khaufnaak Yeh Sapnaa Dekha
Kai Zehreele Naagon Ko Kadmon Sey Lipatttey Dekha
Ek Hi Manzar Yeh Har Raat Ka Hota Hai
Chand Bhi Aakar Meri Chhatt Pe Rota Hai
Palkon Mey Nami Hoti Hai Bikhri Bikhri
Dil Phir Bhi Nayi Umeed Koi Pirotaa Hai
Woh Toh Takkiye Ko Aangosh Mey Le Lete Hai
Jaane Kaise Woh Chain Ki Neend So Lete Hai
Raat Ki Raani Ko Kabhi Khidki Pe Mehekta Dekha
Humne Raaton Ko Aankhon Aankhon Mey Guzartaa Dekhaa