Humaare Shahar Itney Isiyaan Hain Kyun
Gar Jannat Kahe Toh Kaa’iyaan Hain Kyun
Isiyaan=sin, Kaa’iyaan=miser
Maqsad-E-Zindagi Ka Ilm Huaa Toh Kyaa
Gham-O-Khiraad Ki Khirchiyaan Hain Kyun
Khirchiyaan=pieces
Tere Shahar Seh Meri Dooriyaan Hain Kyun
Mushkile Saari Apne Darmiyaan Hain Kyun
Nahi Sudharengey Haalaat Kal Bhi Apney
Cheekh Cheekh Kar Shokhiyaan Hain Kyun
Shokhiyaan=jiggles
Hum Gham Mein Baite Hain Zindagii Seh Haar
Tumne Sajaaye Yeh Aaraaiyaan Hain Kyun
Aaraaiyaan=decorations
Jab Nahi Koi Gilaa Toh Yeh Talkhiyaan Hain Kyun
Ki Mohabbat Gar Toh Suud-O-Ziyaan Hain Kyun
Talkhiyaan=bitterness, Suud-O-Ziyaan=profit And Loss
Dam Bhartey Hain Ahabaab Saath Hone Ka
Meri Mehfil Mein Tanhaaiyaan Hain Kyun
Tum Saath Detey Toh Sabh Hotaa Mumkin
Na Rahe Bismillah Toh Shahnaaiyaan Hain Kyun
Unkaa Be_muravvat Tarz-E-Bayaan Hain Kyun
Aaj Sanam Hum Par Itna Zhiyaan Hain Kyun
Tarz-E-Bayaan=way Of Speech, Zhiyaan=anger
Dil Seh Poocho Apna Nahi Aashiyaan Hain Kyun
Aap Wahaan Hain Kyun Hum Yahaan Hain Kyun