Hum Kisi Aur Ko Hamdam Bana Nahi Sakte
Hum Kisi Aur Ke Nazdeek Jaa Nahi Sakte
Hum Karey Kya Koyi Soorat Nazar Nahi Aatee
Aur Hum Hain Ki Unhain Hi Bulaa Nahi Sakte
Zindagee Intizaar-E-Yaar Mein Guzarnee Hai
Hum Wahan Jaa Nahi Sakte Woh Aa Nahi Sakte
Humara Dard Hai Hum Khud Hi Usey Sahtey Hain
Sun Key Gamgeen Na Hon Woh Sunaa Nahi Sakte
Bagair Un Key Aab-E-Chashm Sey Hui Yaai
Woh Rulaatey Hain Hamain Ham Rulaa Nahi Sakte
Roz Qaasid Payaam Lataa Hai -ŗaayengey Woh-
Woh Sataatey Hain Hamain Ham Bataa Naheen Sakte
Un Kee Zid Hai Binaa Bulaaye Ham Wahaan Jaayeyn
Binaa Bulaaye -Ë—abd-‘ Hum Bhi Jaa Nahi Sakte