Hum Begunahi Pe Apni Bahut Hairan Hue Hain
Unhe To Dekhiye Jo Khud Se Pareshan Hue Hain
Khafa Hain Khud Se Magar Mujhe Ilzam Dete Hain
Jo Khud Hi Ki Kismat Se Naakam Hue Hain
Kabhi Suni Na Meri Aah Magar Ye Kahte Hain
Tere Liye Jamane Mein Hum Badnaam Hue Hain
Hai Tamanna Yahi Kucha-E-Jaan Mein Dum Nikle
Wo Aaj Jo Taqdeer Ke Mehmaan Hue Hain
Nahin Ujaala Kar Sake Jo Mahefil Mein Meri
Wo Sama Banke To Begano Mein Sar-E-Baam Hue Hain
Khata Hai Meri Unhe Apna Samjhte Hi Rahe
“Majboor” Jo Gairon Mein Hi Tamaam Hue Hain