Ho Gayee Manzil-E-Ishq-O-Ashiquee Haasil Mujhe
Kuchh Gubaar-E-Dil Milaa Kuchh Dard-E-Dil Mujhe
Usne Yun Apne Parastisho’n Me Kar Liya Shaamil Mujhe
Usne Apni Raah-E-Hushn- Kaa Reh’guzar Kaha Mujhe
Is Qadar Aasoodah-E-Raah-E-Muhabbat Kar Gaye Mujhe
Voh Wajood-E-Shakil Ko Dhoondte Taraste Mere Saaye Mujhe
Har Lamha Har Lehzah Woh Apne Qareeb Laate Gaye Mujhe
Me Daastaan-E-Ishq Suna Paata Woh Farmaan-E-Judaai De Gaye Mujhe
Ban Gayaa Khud Apne Hi Mubtila-E-Gham-E-Muhabbat Kaa Waarish
Dekhiye Dosto Marz-E-Ishq-O-Gham Ho Gaya Mujhe Ho Gaya Mujhe