Hilne Lagta Hoon Hello Keh Kar Kare Jab Koi Baat
Hi Jab Koyi Kahe Seene Pe Rakh Leta Hoon Haath
Hai Ajab Rishta Azeezo cyber Ki Dosti
Aaj Tak Jisko Na Dekha Roz Milta Hai Wohi
Chat Se Qaem Hua Rishta Bhi Kitna Hai Ajeeb
Jiski Surat Tak Na Dekhi Dil Ke Woh Itna Qareeb
Baarha Yoon Bhi Hua Tafseel Jab Maloom Ki
Jis Ko Hum Samjhe The -ŗshe- Woh To Haqeeaqt Men Tha He
Ek Mohtarma Se Hum Ne Bhi Barha-‘ee Dosti
Hum Yehee Sumjhe The -ŗteenager- Woh Bandee Hai Abhi
Umr Ki Tafseel Us -ŗchatter- Ne Jab Irsaal Ki
Such Batata Hoon Woh Nikli Poore 65 Saal Ki
Pesh Aaya Ek Sahab Ko Ajab Yeh Haadsa
Haadsa Aisa Tha Jis Se Dil Hi Unka Hil Gaya
Chat Muddat Tak Woh Ik Khatoon Se Karte Rahe
Naaz Bhi Uske Uthaye Uske Nakhhre Bhi Sahe
Khul Gaya Yeh Raaz Ik Din Chat Jo Karti Raheen
Ghair Samjhe The Jinhen Khood Unki Hi Begam Woh Theen
Hai Bahut Nazuk Sa Rishta Cyber Ki Dosti
Umr Iski Mukhtasar Hai Daur Iska Aarzi
Jab Koyee -ŗignore- Karde Khood Bikhar Jaata Hai Woh
Yoon Samajhiye Waqt Se Pahle Hi Mar Jaata Hai Woh
Aarzi Rishta Hai Phir Bhi To Ghaneemat Hai Miyan
Nafraton Ke Daur Men Yeh Ek Nemat Hai Miyan