Her Kisi Ko Aas Main Rekhne Ki Aadat Uss Ko Thi
Werna Kyon Matloob Ghairon Ki Rafaaqat Uss Ko Thi
Kaise Ker Leta Gawara Woh Meri Sansoon Ki Aanch
In Dinon Khud Apnay Saaye Se Bhi Wehshet Uss Ko Thi
Hijr Ki Ik Aazmaish Se Guzer Jane Ke Badh
Sari Duniya Se Judai Ki Shikayat Uss Ko Thi
Fasailay Ka Haq Usse Hasil Tha Uss Ne Ker Liya
Mujh Se Kab Derkaar Koi Bhi Vazaahet Uss Ko Thi
Ik Khilona Torne Ke Wastay Derkaar Tha
Ab Main Samjha Kis Liye Meri Zarorat Uss Ko Thi