Her Aik Zekhum Ka Chehra Gulaab Jaisa Hay
Mager Yeh Jagta Menzer Bhi Khawab Jaisa Hay
Yeh Telekh Telekh Sa Lehja,Yeh Taiz Taiz Si Baat
Mizaj-E-Yaar Ka Alam Sharab Jaisa Hay
Mera Sukhen Bhi Chamen Der Chamen Shafaq Ki Phuwar
Tera Baden Bhi Mehektay Gulaab Jaisa Hay
Berha Taweel,Nahayet Haseen,Bohet Mubhum
Mera Sawal Tumharay Jawab Jaisa Hay
Teri Nazer Hi Nehi Herf-E-Aashna Werna
Her Aik Chehra Yahan Kitab Jaisa Hay
Chamak Uthay To Sumender,Bujhay To Rait Ki Leher
Meray Khayal Ka Deria Sarab Jaisa Hay
Teray Qareeb Bhi Reh Ker Na Paa Sakoun Tujh Ko
Teray Khayal Ka Jalwah Habab Jaisa Hay