Hawa Rawan Hai Aur Ek Naghma Suna Rahi Hai
Har Ik Kali Hi Ishaare Se Kuchh Bata Rahi Hai.
Gulon Ki Mehfil Me Muskurahat Bikharte Dekhun
Lage Tabassum Ki Yaad Phir Se Bula Rahi Hai.
Kabhi Jo Is Dil Ki Dhadkane Mai Badalte Dekhun
Lage Hai Gumsum Se Is Chaman Me Wo Aa Rahi Hai.
Mai Khoya-Khoya Tha Jaane Kab Se Kisi Jahan Me
Wo Haath Thaame Naye Jahan Me Le Ja Rahi Hai.
Ye Khwab Hai Ya Koi Nasha Hai Pata Nahi Hai
Mai Baitha Hun Chup Wo Jaane Kya-Kya Suna Rahi Hai.
Kisi Khushi Ki Nahi Hai Khwahish Ki Wo Mili Hai
Jo Mujhko Duniya Ki Saari Khushiyan Dila Rahi Hai.
Yahin The Gulshan Yahin Pe The Gul Bahaar Bhi Thi
Magar Wahi Ab Gulon Ko Chunna Sikha Rahi Hai.
Kya Pyara Manzar Hai Ai ‘Chaman’ Ki Mai Aur Wo Hain
Mai Rootha Hun Aur Mujhe Wo Kaise Mana Rahi Hai!