Har Koi Dard Sajata Hai Kyun Dikhane Ko Yahan
Ashq Aankhon Se Bahata Hai Kyun Dikhane Ko Yahan
Ruswai Ke Raston Se Guzarti Hui Is Dunia Mein
Gubaar Gam Ke Udata Hai Kyun Dikhane Ko Yahan
Chaand Ki Chahat Mein Bilakhte Bachhe Ki Tarah
Maatam Mohabbat Ka Manata Hai Kyun Dikhane Ko Yahan
Sukoon Ki Manzil Paane Ke Joonun Mein Har Shaksh
Kaafile Gam Ke Badhata Hai Kyun Dikhane Ko Yahan
Sab Ke Khawab Haqeeqat Bane Yeh Jaroori To Nahin
Moorat Armanon Ki Banata Hai Kyun Dikhane Ko Yahan
Beshoomar Aabadiyon Se Bhari Is Dunia Mein Kureel
Nashtar Tanhai Ke Chalata Hai Kyun Dikhane Ko Yahan