Har Ek Shaks Ke Maathe Pe Shikan Paaye Hai.
Jism Chaltaa Par Aakhon Mein Thakan Payee Hai.
Shikan=crease
Bazaar-E-Duniya Mein Kadam Kadam Ke Faasle Par,
Qimaton Tale Tamannayen Dafan Payee Hai.
Tale=niche/under.
Woh Tha Adh Nanga, Par Kaunsi Mitti Ka Banaa ?
Ghuma Ke Charkha Azaadi-E-Watan Paayee Hai.
Pardes Mein Hai Kiya Jab Se Aashiyan Aapna,
Na Gul Naseeb Hai, Na Bu-E-Chaman Paayee Hai.
Surat-O-Sirat, Bahot Kum Hi Ek Saath Mile,
Kahin Badan, Kahin Tehzeeb-E-Badan Paayee Hai.
Yeh Meri Haar Hai Ke Paaya Sirf Jism Tera,
Rooh To Gair Ki Chaahat Mein Magan Paayee Hai.
Teri Tasveer Bhi Dekhoon To Dil Dahalta Hai,
Kuch Aisee Aapne Barchi-E-Nayan Payee Hai.
Barchi=spear
Tere Bose Ki Lagee Lat Hai Iss Kadar Ke Agar,
Na Mile Roz To Hothon Pe Jalan Payee Hai.
Bose=kiss, Lat=adat/addiction
Ashq Behte Nahi, Chehre Pe Tabassum Bhi Hai,
Dil Ne Kuch Aisee Fataanat-E-Rudan Paayee Hai.
Tabassum=smile, Fataanat=kala/art, Rudan=crying
Badan Mein Sab Se Gunehgar Hai Zuban Meri,
Issi Liye To Aseeran-E-Dahan Payee Hai.
Aseer= Prisoner, Dahan=mouth
Aseeran-E-Dahan=imprisoned In Mouth.
Kaam Karte Koi Behtar Miyan Talib Lekin,
Kya Karen Aapne Bad-Khu-E-Sukhan Paayee Hai.