Haqeeqat Ki Dehleez Se Jab Pair Takrane Lagey
Khawbon Ke Gharondey Tab Door Nazar Ane Lagey
Mur Mur Ke Dekhtey Rahey Gujrey Karwan Ko Hum
Dhundhli Ankhon Se Ashq-E-Gubar Bersane Lagey

Mohabbat Ke Pyalon Me May Thi Itni Jyada Ki
Bin Piye Hi Kadam Der Per Khud Larkharane Lagey
Ankhon Me Jahalak Jay Na Kahin Tasveer-E-Yara
Sochker Her Kisi Se Hum Nazrey Churane Lagey
Palkon Me Simat Aye Hain Ehsaas Sunahrey Kitne
Ankhon Ke Gird Tanhai-E-Manzar Lehrane Lagey
Bahon Ka Sath Leker Kutega Kaise Ye Jist-E-Safar?
Duniya Ke Sawalon Se Humsafar Ab Ghabrane Lagey
Shab-E-Hizr Me Machalti Hain Jab Veeran Hasratey “Sona”
Khamosh Labon Se Cheekhon Ko Derker Dabane Lagey