Hain Tiyaar Yahan Sab Larnay K Liye
Reha Gayi Tahzeeb Bas Marnay K Liye
Bistar-E-Marg K Gird Yon Hoon Jamaa
Gooya Muntazir Uske Guzarnay K Liye
*Bistar-E-Marg=jaan Leva Bemaari/death Bed
Dhan Daulat Shohrat Per Aisay Giray
Koi Pasti Nahi Baqi Ab Girnay K Liye
*Pasti=down
Suna Hay K Kafan Mein Hoti Nahi Jaib
Phir Kaisi Fikar Jaib Bharnay K Liye
Chup Gaye Phan Phailaye Saray Saanp
K Insan Kafi Insan Ko Dasnay K Liye
Fahashi-O-Uryaani Hogayi Zaib-E-Tan
Jaanay Kiya Baqi Ab Utarnay K Liye
*Fahashi Uryaani=vulgarity
Haq Gou Ki Haq Gouyi Ka Ek Hi Jawaab
Iski Aqal Gayi Ghaans Charnay K Liye
*Haq Gou=sachi Baat Kehnay Wala, Haq Gouyi=sachi Baat
Chal Amaan Qalam Kahi Behak Na Jaaye
Paray Aur Bhi Hain Kaam Karnay K Liye