Hai Pyar Kya, Kia Mehsoos, Hamne Bhi Kabhi Kabhi
Wo Ikhtiyaar Tha, Giriya Tha, Ya Faasla Tha Kabhi Kabhi
Ya Khuda Kya, Ye Pecheeda, Se Jazbaat Banaye Hain
Ke Isko Socha, Muskuraya, Garan Roya Kabhi Kabhi
Abas Sa Hoon, Nasha Sa Hai, Aur Bekhudi Bhi Hai [Abas = Indifferent]
Hame Aise Gham-E-Dauraan, Atay Hain Kabhi Kabhi
Wo Ghair Hain, Sach Hai, Wo Maikashee Apnee, [Maikashee=booz]
Khumaar-E-Pyar Me, Apnay Wo, Lagtay Hain Kabhi Kabhi
Wo Kho Gaye, Abhi Hamne, Chashm-E-Jaam Jo Pia
Dil-E-Tamanna, Talashein Wo, Hamko Bhi Kabhi Kabhi
Ye Shor-O-Gul Hai Kyon Badha In Sunsaan Galiyon Ka
Ye Jashn To Hua Karta Hai Jo Wo Aate Hain Kabhi Kabhi