Hai Ab Mere Bete Teri Zimmedari.
Hai Ab Mere Bete Teri Apni Bari.
Hui Khatm Kadhon Ki Taakat Hamare
Hui Khatm Teri Ye Budhi Sawari.
Wo Ungli Ke Jinse Tu Chalna Sikha Tha
Wo Bahen Jo Bachpan Ka Jhula Tera Tha.
Wo Aakhen Ke Jinme Teri Rah Thi Kal
Wo Khwahish Ke Jinme Teri Chah Thi Kal.
Hua Khatm Sab Kuch Magar Yad Rakhna
Mujhe Khud Me Hardam Tu Aabad Rakhna.
Hain Apni Jagah Tere Sab Rishte Nate
Hai Apni Jagah Tere Yaron Ki Yari.
Hai Ab Mere Bete
Kya Hisab Aur Kya Be Hisabon Ke Kharche
Mujhko Bhari The Teri Kitabon Ke Kharche.
Fir Bhi Tujhko Tera Har Khilona Dilaya
Kar Ke Majduri Tujhko Likhaya Padhaya.
Meri Kurbaniyon Ka Sila Dena Dekho Nam Karke Jahan Me Dikha Dena Dekho.
Hai Khwahish Meri Teri Aisi Na Bite
Jaisi Ke Hamne Hai Apni Guzari.
Hai Ab Mere Bete.