Haath Mein Doonga Jo Haathon Ke Barabar Chooriyan
Kya Paihan Lougi Meri Jaan Muskuraakar Chooriyan
Aarzo Dil Ki Nah Rou Rou Kar Kahin Dam Tourde
Chup Nah Houjayen Kahin Pardeh Ke Andur Chooriyan
Dast-E-Naazuk Se Kisi Ne Le Liyaa Dil Cheen Kar
Paish Karne Main Tou Laaya Tha Moattar Chooriyan
Mujh Se Milne Mere Ghar Aayi Hou Dulhan Ki Tarah
Tan Peh Hei Phoolaon Ka Zaiwar Aur Ji Bhar Chooriyan
Tere Daaman Mein Tou Mumkin Hei Jagah Mil Jaayegi
Kya Kahaingi Mujh Se Jaane Teri Sundar Chooriyan.