Haasil Usi Ka Hoga, Jo Kabhi Haasil Ho Sakta Nahin
Kitna Nadaan Hain Dil Mera Kitna Na-Samajh Hain
Jin Raaston Ki Manzil Hoti Nahin
Unhi Raaston Pe Chalne Ke Zid Karta Hain
Jo Hain Hi Nahin, Use Dhoondne Chala Hain
Kitna Nadaan Hain Dil Mera Kitna Na-Samajh Hain
Ek Muskurahat Ke Sadke, Ek Umra Jalane Chala Hain
Ek Boond Se Ek Samandar Ki Pyaas Bujhane Chala Hain
Hawaon Se Dosti Karli Hain, Aandhiyon Ka Saath Nibhane Chala Hain
Kitna Nadaan Hain Dil Mera.. Kitna Na-Samajh Hain
Ek Awaaz, Ek Naam, Ek Chehra Aur Ek Parchayee
Chand Khat, Kuch Yaadein Aur Meri Tanhayee
Inki Buniyad Par Zindagi Basane Chala Hain
Apne Junoon Ki Intehaa Ka Imtihaan Lene Chala Hain
Kitna Nadaan Hain Dil Mera Kitna Na-Samajh Hain
Haasil Usi Ka Hoga, Jo Kabhi Haasil Ho Sakta Nahin
Kitna Nadaan Hain Dil Mera Kitna Na-Samajh Hain