Guzarta Hain Meri Saanson Mein, Tera Naam Aaj Bhii,
Bechain Hain Ye Dil, Ekk Jawab Tere Se Maangne Ko Aaj Bhii,
Tujhe Gair Se, Mujhe Tujhse Hai Pyaar Aaj Bhii,
Har Mukaam Pe Hoti Hain, Meri Pehchaan Tere Naam Se Aaj Bhii-Â…
Sehmi Si Nigahon Mein ,Ek Khwaab Hai Aaj Bhii,
Suni Sii Dhadkan Mein, Ek Saaz Hai Aaj Bhii,
Tere Ek Gham Pe, Meri Saari Khushiyan Kurbaan Hai Aaj Bhii-Â…
Tumhe Ho Na Ho, Humein Tumhari Parwah Hai Aaj Bhii,
Tere Naam, Hazaaro Zakhmo Ki Baarish Mein,
Mujhe Bheegne Ki Aarzoo Hai Aaj Bhii,
Jab Saath Tumhein Koi Na De, Tab Aawaaz Humein Dena,
Teri Ek Aawaaz Ki Tamanna Hai Aaj Bhii,
Har Lafz Ko Kaagaz Pe Utaara Nahi Jaata,
Har Naam Ko Sar-E-Aam Pukara Nahi Jaata,
Per Iss Raaz Ko Tere Naam Ki Shikayat Hai Aaj Bhii,
Khel Mein Fateh Aur Maat To Jaayaz Hi Haii,
Per Iss Maat Ko Ek Fateh Ki Chaah Hai Aaj Bhii,
Ashqon Se Barasti Boondo Ki Kasam,
Dil Mein Jal Rahii Hai Uss Agan Ko Ek Barsaat Ki Pyaas Hai Aaj Bhi,
Hum Tumse Dur Jald Hii Ho Jayenge, Iss Ka Ehsaas Tumhe Na Rulaye,
Per Tujse Dur Jaane Ke Khauf Se Hii,
Jeete Jii Meri Chhitaa Jal Rahii Haii Aaj Bhii,
Jiske Hisse Fateh Bhi Na Aayii, Jiske Hisse Maat Bhi Na Aayii,
Na Jaane Kyun?uss Rakh’ Ko Sukun Paane Ki Hazrat Hai Aaj Bhii,
Iss Janm Mein Tumhe Khone Ka Gham Hai Aaj Bhii,
Per Yakeenan, Agle Janm Mein Tumhe Paane Ki Jidd Haii Aaj Bhii,
Teri Laakh Galtiyan Maaf Haii Saain Ke Darbaar Mein,
Per Mera Ek Apraadh Iss Dil Ko Dukhata Hai Aaj Bhi,
Ek Apaahij Hote Hue, Iss Naachiz Ne Daudne Ki Tamanna Rakhhii,
Yehi Dil-E-Naadan Ko Ranj Hai Aaj Bhii-Â….
Majbooriyon Ke Khanjar Se Chaknachur Hai,
Phir Bhi Ye Dil Muskurata Hai Aaj Bhii,
Jisne Kabhi Humein Chaha Hii Nahi,
Ussse Dil Ki Baat Zaahir Ho Gayii,
Ye Baat Se Mujhe Khud Se Nafrat Hai Aaj Bhii-Â….
Kal Ke Bhanwar Mein Aaj Khone Ka Gham Hai Aaj Bhii,
Apne Kartavya Ka Paalan Karne Wali Iss Pagli Ko,
Khud Ka Manhoos Hone Ka Behadd Afsos Hai Aaj Bhii