Gulami Ki Zazeeron Mein Jakare Dum Tor Rahe The Jo Log
Tha, Beesvi Sadi Ka Madhy, Madhya Aayu, Dhalti Saanjh
Ley Kar Baithe The Nai Paneeri, Nai Aashaen Ve Log
Bharat Ke Aakash Par Nai Subheh Ki Nai Umang-Tarang
Aage Aage Hone Wala Kya Bhool Gaye The Ve Log
Sooraj Nikla, Badal Garja, Toophan Ban Jhoola Jhakhar
The Jante Aajadi, Nahin Janate The Rakhwali Ve Log
Pat Se Bhookhe, Nange Tan, Bhoole Bhatke Rah Par The Anjan
Garden Uthae Jhank Rahe The, Nai Paneeri Ke Jo Log
Un Ki Drishty Pari Jab, Chamkta Sooraj Pashchim Aur
Aa Pahoonche Ajnabi Satta Par, Laye Udari Ve Log
Pal Bhar Men Bhool Gaye The, Peechhe Aaye, Chhor Jo Ghar Bar
Lagan Lie Man Men, Aage Aage Chalete The Ve Log
Dhanwan Banoon Rat Lagate, Kho Gaye Bhoolbhallenyan Andar
Der Ho Chuki Thi,Peeche Jab Palat Kar Dekhne Lage Ve Log
Meel Pathar Ki Tarah, Sun-Masun, Gum-Sum Hosh Hawas
Jaise Apni Mritak Dehi Ka Bhojh Dho Rohe Hain Ve Log
Bal Heen, Jardi Chahre Chite Vaster, Jaise Mritak Ka Kaphan
Tan Ko Kapra, Pat Ko Roti, Aatm Tripti Luta Baithe Ve Log
Jis Mor Se Chale The, Phir Samay Usi Mor Par Lai Thahraya
Aankhon Mea Aansu Liye Ghoomte, Dekhne Ko Muskate Yeh Log
Kaise Kaise Apne Hridaye Ke Ghav, Chupa Kar Chalete Vicharte
Samay Ki Aandhi Ke Mare, Ab Hai Gulam Yeh Log
Pahle Peeche Chor Aaye The, Ab Aage Choor Chale Ghar-Bar