Ghar Jala Do Dar Jala Do
Ya Phir Ye Shahar Jala Do
Rukhe Gulshan Mein Baharein Nahi Aaya Karti
Sukhe Darakhton Ko Mat Hosla Do
Kaat Do En Budhe Pedon Ko Ya Phir
Ek Ehsaan Karo Inhe Zahar Khila Do
Jisne Dekhi Ho Jaanat Ki Hawa
Use Mat Iss Sili Hawa Ka Sila Do
Baat Karo Humari Mehfilon Ki Yaar
Muzhe Purane Doston Se Mila Do
Khat Likh Do Unhe Meri Rukhsat Ka
Aakhri Baar Mil Le Sab Yaar
Aur Sanad Rahe Ki Koi Aansu Na Gire
Chahe To Samandar Jala Do