Gham Ki Barish Ne Abhi Tere Gham Ko Dhoya Nahin,
Tune Mujhey Kho Diya Main Ne Tujhey Khoya Nahin.
Neend Ka Halka Gulabi Sa Khumar Ankhon Main Tha,
Yun Laga Jaise Woh Raat Ko Deer Tak Soya Nahin.

Hur Teraf Diwar-O-Dar Aur Un Main Nakhoon Ke Hujoom,
Keh Sake Jo Dil Ki Halat Woh Lab-E-Goya Nahin.
Jurm Adam Ne Kiya Aur Nasla-E-Adam Ko Sazah,
Katta Hoon Zindagi Bhar Mainne Jo Boya Nahin.
Janta Hoon Ek Aise Shaks Ko Bhi Muneer,
Gham Se Pather Ho Gaya Lakin Kabhi Roya Nahin.