Ghair Lein Mehfil Mein Bose Jaam Ke
Ham Rahain Yoon Tishna_lab Paighaam Ke
[ Bosa = Kiss, Tishna = Thirsty ]
Khastagee Kaa Tumse Kya Shikwa Kee Ye
Hathkande Hain Charkh-E-Neelee_faam Ke
[ Khastagee = Injury/sickness, Shikawa = Complaint,
Hathkande = Tactics, Charkh = Sky, Neelee_faam = Blue Colour/ Complexion ]
Khat Likhenge Garche Matlab Kuchch Naa Ho
Ham To Aashiq Hain Tumhaare Naam Ke
Raat Pee Zamzam Pe Main Aur Subh_dam
Dhoye Dhab’be Jaam-E-’Eharaam Ke
[ Zamzam = A Well In Kaba Whose Water Is Considered Holy,
Mai = Wine, Subh_dam = At Dawn, ‘Eharaam = Dress For ‘Haj’]
Dil Ko Aankhon Ne Fasaaya Kya Magar
Ye Bhee Halqe Hain Tumhaare Daam Ke
[ Halqa = Ring/circle, Daam = Net/trap ]
Shaah Ke Hain Ghusl-E-Sehat Ko Khabar
Dekhiye Kab Din Phirein Hammaam Ke
[ Ghusl = Bath, Sehat = Health, Hammaam = A Hot Bath Where A
Masseur Gives Massage And Bath ]
Ishq Ne Ghalib Nikamma Kar Diya
Warna Ham Bhee Aadmee The; Kaam Ke