Gairon Ko Ghar Bulaia Nahi Jata
Haal-E-Dil Sabko Sunaia Nahi Jata.
Shayad Tere Liye Duaa Maang Saku,
Apne Liye To Daman Falaia Nahi Jata.
Tum He Bhar Do Jholi Meri Kanto Se,
Sab Ke Dar Pe To Jaiya Nahi Jata.
Dekhne Bhar Se He Sihar Uthta Hoon,
Zakhm-E- Jigar Ko Sehlaia Nahi Jata.
Bhulne Ko Bhool Jaoun Khuda Bhee,
Ik Tera Hee Chhehra Bhulaia Nahi Jata.
Humme Tumme Ajeeb Hai Ye Takaluf,
App Bulate Nahi Hum Se Aiya Nahi Jata.
Mat Itrao Kagaz Ke Phool Bechne Walom,
Kiyon Ki Inse Aashiana Mehkaiya Nahi Jata.
‘Veer’ Kai Pathar Zakham Bhee De Jate Hai,
Har Pathar Ke Aage Sar Jhukaia Nahi Jata.