Fir Ek Bar Zara Himalay Ko Sulag Jane Do
Sari Barf Pigalkar Aabashaaron Mein Badal Jane Do!
Ki Aaj Fir Hindustan Ka Katl Hua Hai!
Lahoo Ki Narm Garam Boo Se Fiza Ko Mehek Jane Do,
Rakt Ki Dharawon Ke Nashe Mein Ganga Ko Behak Jane Do!
Ki Hamne Insaniyat Ka Rang Hi Badal Diya Hai!
Zamee Ke Jrre-Jrre Mein Ek Harkat Si Mehsoos Hoti Hai Aaj,
Judayi Ke Andheron Se Pehle Aakhri Shaam Dekhi Hai Aaj,
Ki Dharti Se Uske Bachchon Ko Bedakhal Kiya Hai!
Jane Kab Se Tadap Raha Tha Barood Sulgane Ke Liye,
Yeh Zamee Bhi Apna Gussa Aur Aag Ugalne Ke Liye,
Waqt Ne Toh Bas Rasta Hi Saral Kiya Hai !
Aakhir Yeh Umas Jayegi Kahan Hamari Tangdili Ki,
Yeh Ghutan Kab Na Fat Jayegi‚  Hamari Sangdili Ki!
Aasman Kya Karega Insaan Toh Khud Hi Jal Gaya Hai
Her Prant Ek Doosre Ka Dushman Bane Toh Kya Hua!
Her Mazhab Ek Doosre Ka Katil Ho Toh Kya Hua!
Yahan Khulkar Siyasat Ka Khel Chal Gaya Hai!
Bharat Ke Jism Per Yeh Zakham Kiye Kisne Pata Hai
Hamne Inhi Aankhon Se Un Deshdrohiyon Ko Dekha Hai!
Apni Aastino Mein Hi Saanp Toh Vo Pal Gaya Hai!
Lahoo Aur Peeb Ka Taal Bhara Hai Shvethposh Rangrejo Ne,
Bharat Ko Aah, Tadap Aur Khaaj Di Hai Bharatiy Angrezo Ne!
Iske Jism Per Khada Videshi Mehel Kiya Hai!
Kitna Sataya Gaya Hai Ise Kya Kisi Ko Ye Yaad Nahi,
Ithihas Ko Bhulaakar Aaj Kya Fir Ker Rahe Berbad Nahi!
Ve Kab Iske Bane Jinhone Ise Ghayal Kiya Hai!
Buniyaadon Ko Pilaya Hua Lahoo Ab Tak Na Ubalta,
Majloom Maans Aur Haddi Ka Dhancha Kab Tak Na Galta!
Hamare Armaanon Ko Tumhari Sajishon Ne Kuchal Diya Hai!
Pehle Sambhl Jate Na Ganga Behkti Na Barf Pighalta,
Na Hum Mitthe Na Hind Aur Na Himalayi Sulagta
Aapki Bewakufiyon Se Insaani Safar Mushkil Hua Hai