Faqat Ik Khwaab Ki Chah Main Har Haqeeqat Bhula Dee Hum Nay
Ab Sochtay Hain Kyun Khud Ko Yeh Saza Dee Hum Nay
Dono Hee Qaid Rahay Apni Ana Kay Hisaar Main
Na Us Nay Mur Kar Daikha Na Sada Dee Hum Nay

Is Umeed Pe Kay Kabhi To Shab-E-Gham Ki Bhi Sahar Ho Gee
Tamaam Umar Teri Yaad Main Bita Dee Hum Nay
Rishtay Bhi Ajnabi Thay Ajnabi Dayaar Kay
Wohi Dushman-E-Jaan Hoa Jisay Dil Main Jagah Dee Hum Nay
Ahl-E-Dunia Dushmani Janay Kis Tarha Nibha Laitay Hain
Ik Dosti Nibhanay Main Umar Ganwa Dee Hum Nay
Zindagi Pahlay Bhi Kuch Itni Asaan Na Thee
Phir Tujhay Chah Kar Aur Bhi Kathin Bana Li Hum Nay
Un Ko Bhi Ho Khabar Yah Zaroori To Nahi
Jin Ki Khatir Apni Hasti Tak Mita Dee Hum Nay
Uskay Laut Kar Aanay Ka Koi Waada Tha Na Umeed
Jaanay Kion Phir Uski Raah Har Shaam Taki Hum Nay