Ekk Tha Mera Saaya Aur Ekk Parchayee Thi,
Dono Anjaan Se Khade Dhoond Rahe The Pehchaan.
Asamanjas Mein Stithi Ko Qaid Kar Manddrati Hui
Kaali Chaaya Se Poochtey Apne-Apne Wazood Ko,
Jis Per Nirbhar Tha Unki Talaash Kaa Har Kona.
Anantkaal Se Hii Yeh Mann Utsuk Tha
Uss Dil Kii Hatya Ko,Jisne Usse Behlaaker
Raat Se Pehle Hii Sula Diya Tha,
Aur Chamakti Subah Ko Dhaka Tha Khaali Bartan Se.
Vichaaron Ko Jo Dastak Di Thii Itraati Hawa Ne,
Usse Zehreeli Aandhi Saugaat Mein Mili Thi.
Jo Aakaash Se Utri Aur Sama Gayi Tthi
Uss Paataal Mein,Jisne Aaj Jarron Ko
Kamzor Geeli Mitti Kii Shakl Dekar Lagaya Tha
Samay Kii Deewar Mein. Meri Sochh Kaa Daayra
Vichlit Ho Raha Tha,Chhod Naa Chaha Raha Tha
Dimaag Ki Bannd Galiyon Se Mastisk Mein Janam Lekar
Goonj-Tey Saikron Sawaal Chatpata Rahe The
Jhuka Diya Tha Jiney Jawaab Kii Dehleez Mein
Natmastak Hua Be-Jaan Sa Sawaal Doobh Gaya Tha
Zameen Kii Uss Teh Mein Jo Kisi Puraani Si Kabr Kii
Kahani Keh Raha Tha.