Ekk Khilti Si Kalii Apne Aap Mein Mast Ab Phool Bani Hain
Naa Padh Paayi Un Aankho.N Ko, Main Jinme Pyaar Samajhti Thii,
Ab Ekk Bojh Si Hu Main, Ekk Anchaahi Si Jarurat,
Ghar Kii Izzat Hu Main, Kuchh Sapne Jo Sajau Main,
Naa Haqeeqat Dekh Pau Main,Taakti Hu In Aankhon Mein
Ekk Chaah Si, Ekk Ummeed Lekar,
O Maa, Bau Ji, Mera Ek Sapna Hain
Ekk Feeki Si Muskuraahat Se Sunti Hu Aksar,
Apne Ghar Jaa Kar Karna Beti
Ekk Chamak Si Aati Hain Aankhon Mein, Mera Ghar
Ek Sawal.‚  Main Ab Kahaan Hu?
Ab Fir Se Mere Maa , Bau Ji Hain,
Mera Hamsafar Hain Saath Mere,
Haan, Ye Mera Ghar Hain Shayad,
Fir Ekk Ummeed Si, Ekk Darr Ke Saath,
Nazar Jhuka Ke, Kehtu Hu Ab,
Maa Ji, Mera Ekk Sapna Hain”
Ek Teekhi Si Muskaan Se Fir Sunti Hu,
Apne Ghar Me Karna Tha Sab Bikhar Si Gayi Hu Main,
Doondti Hu Shayad Kisi Ko, Kisko ? Pata Nahi
Ye Kaisa Sawaal Hai, Pata Nahii
Mujhe Bata De Koi Mera Ghar Kahaan Hain?