Ek Umar Thi Jab Saath Khela Karte The
Phir Ek Umar Aayi Jab Aankhon Mein Sapne Liye Chala Karte The
Aaj Ek Raah Par Kadam Ladkadaye
Aas Paas To Koi Nahi Tha Dekha Peeche Mud Kar To,
Eh Dost Tu Bhi Na Nazar Aaye
Zindagi Mein Kabhi-Kabhi Kuch Baaton Se Pareshaan Ho Jate The
Phir Milkar Ek Dusre Ko Samjhaate The.
Aaj Bhi Woh Pal Yaadein Ban Kar Dil Mein Reh Jaati Hai
Eh Dost Teri Bahut Yaad Aati Hai.
Jab Bhi Ghar Par Choti-Choti Baaton Se Ladkar Tere Paas Aa Jaata Tha
Tere Ghar Ki Darwaaze Ke Paas Jo Seedhiya Thi Wahi Baith Jaata Tha,
Wahi Baithkar Tujhe Dil Ki Har Baat Keh Jaata Tha,
Har Baat Pe Tera Woh Kehna Ke.
Apne Aap Ko Inta Senti Kyon Kar Leta Hai,
Badon Ki Baaton Ko Itna Dil Pe Kyon Le Leta H
Dost, Aaj Bhi Woh Baat Shayad Choti Hi Hoti Hai
Par Koi Samjhaane Wala Nahi,Isliye Yeh Aankhein Roti Hai..
Aaj Bi Jab Takhta Hoon Uss Jageh Ko To,
Aaj Bi Apni Parchai Mujhe Waha Dikhti Hai
Par Tujhe Jab Dhoondta Hoon To Tasveer Dhoondli Si Kyon Lagti Hai
Ab Apni Khamoshi Bhi Kuch Keh Jaati Hai
Eh Dost, Teri Bahut Yaad Aati Hai.
Jab Bhi Pocket-Money Milti Thi To Bade Bade Sapne Dekha Karte The
Dus Din Bhi Nahi Guzre Ke Jeb Apni Khaali Kar Diya Karte The
Sirf Bike Mein Petrol Ke Paise Bachakar Saath Phir Liya Karte The
Jab Bhi Kahin Jaana Ho To Apne Purse Ek Dusre Se Chupa Liya Karte The
Aaj Dekh Zindagi Ka Manzar Kuch Aur Kehta Hai
Aankhein Wahi Hai Aankhon Mein Sapne Wahi Hai
Par Tabdilli Zindagi Ki Tasveer Badal Deta Hai.
Kuch Pal Ko Yaad Kar Yeh Aankh Aaj Bhi Muskuraati Hai
Eh Dost, Teri Bahut Yaad Aati Hai
Yaad Hai Mujhe , Jab Bichadte Waqt Tune Kaha Tha
Eh Dost Hamesha Dua Karna,Kuch Sapno Ko Mujhe Hai Haqeeqat Mein Badalna
Aaj Bhi Woh Pal Woh Ghadiya Aankhon Mein Tehar Jaati Hai
Eh Dost Teri Bahut Yaad Aati Hai
Kuch Dost Aise Hote Hai Jinhe Yaadein Nahi Bhool Pati Hai
Woh Dost Anmol Hote Hai, Jab Dil Se Dosti Ki Jati Hai.
Aaj Bhi Dekhta Hoon Dosto Ko Saath Rehte Hue
Kabhi Gale Milte,Kabhi Ladte Jhagadte Hue
In Doston Ko Saath Dekh,Aankhein Meri Bhar Jaati Hai
Eh Dost Teri Bahut Yaad Aati Hai
Aaj Jab Uss Dost Ne Mujhe Phone Karke Rote Hue Kaha
Yaar Zindagi Bahut Tez Guzar Jaati Hai
Kabhi-Kabhi Mehfil Mein Bhi Tanhai Nazar Aati Hai
Uski Is Baat Par Usi Ke Alfaaz Use Dohraaye
Apne Aap Ko Itna Senti Kyo Kar Leta Hai.
Main Hairaan HoonTu Bhi Aankhon Mein Aansu Bhar Leta Hai.