Ek Roz Ki Baat Hai Woh Aaye Hame Milne Ke Liye,
Keh Gaye Ab Yeh Rishta Nibhaya Nahi Jata,
Aankon Mein Bhar Aaye The Aansu,
Chehre Par Hansi Aur Hamse Kuch Kaha Nahi Jata
Usne Intezaar Kiya Mere Jawaab Ka,
Bolne Ki Koshish Ki Par Kuch Kaha Nahi Jata,
Sirf Nibhaye Do Saal Is Rishte Ko,
Ab Keh Diya Yeh Nibhaya Nahi Jata,
Himmat Jutayi Aur Poocha Unse Kisne Lii Hai Meri Jageh??
Is Baat Par Woh Bhi Maun Aur Un Se Bhi Kuch Kaha Nahi Jata,
Khule Honth Unke Awaaz Aayi,
Awaaz Mein Uske Mama Ka Naam Tha Liya Jata,
Main Hairan Hua Kuch Pareshaan Hua,
Kaha Use Ke Uske Chaar Bacche Bhi Hai,
Kehni Lagi Mujhse Ke Yeh Sab Samjha Nahi Jata,
Samjhaya Usko Bohot Par Keh Gayi Ke Jawab Badla Nahi Jata,
Main Toot Kar Bikhar Gaya,
Par Mujhse Roya Nahi Jata,
Hasi Bayan Thi Chehre Par Ghum Wo Samajh Na Saki,
Khushi Mein Uski Khushi Thi Meri Use Inkaar Kiya Nahi Jata,
Nazre Jhukai Aur Palat Gayi,
Aansuo Ki Ek Lakeer Chehre Par Chamak Gayi,
Hotho Par Jaakar Ruki Meri Kya Ittefak Tha,
Ek Waqt Uske Aansu Piya Karte The Aj Khud Ka Piya Nahi Jata,
Usne Dheere Dheere Chalna Shuru Kiya,
Samaa Bilkul Khamosh Sa Tha,
Main Apne Ghutno Par Gira Himmat Haar Chuka Tha,
Ab Jab Sahara Mangne Ki Zarurat Padi To Manga Bhi Nahi Jata,
Usne Dobara Mud Kar Bhi Na Dekha Meri Taraf,
Ke Mujh Par Kya Beeti Hogi,
Woh Chalte Rahe Main Wahi Khada Raha,
Phir Bhi Dooriyon Ka Faasla Badta Jata,
Aj Bhi Usi Se Mohabbat Kartu Hai Tu Jaan Le,
Nahi Main Bewafa Na Ilzaam De,
Mit Gaya Hun Main Teri Mohabbat Mein,
Na Takleef Se Jiya Jata Na Sukoon Se Mara Jaata…