Ek Phool Ko Chune Ki Khaatir
Kaantoon Se Zakhmi Hote The
Jo Phool Jhoolay Mein Aa Girta
Ussay Choone Se Dar Jaate The
Hum Kaise Pagal Hote The
Ke Dhundhle Aaenoon Mein Apna
Hum Aks Sa Dhoondha Karte The
Aur Kircheyaan Chitkhey Aaenoon Ki
Mutthi Mein Daba Kar Rakhte The
Hum Kaise Pagal Hote The
Jab Sarak Pe Chalna Hota Thaa
Hum Kashti Le Kar Chaltay The
Aur Beech Bhanwar Jaane Ke Leye
Hum Paidal Nikla Karte The
Hum Kaise Pagal Hote The
Jab Baarish Barsa Karti Thi
Hum Chhatri Mein Chup Jaate The
Aur Jalti Dhoop Main Nange Sar
Hum Chhat Per Uchla Karte The
Hum Kaise Pagal Hote The
Jab Paas Bahat Woh Hota Thaa
Hum Us Ko Dekh Na Saktey The
Jab Door Chala Jata Tha Woh
Hum Aahat Us Ki Suntey The
Hum Kaise Pagal Hote The
Jab Saari Duniya Soti Thi
Hum Chaand Se Khela Karte The
Jab Saari Duniya Jaag Uthti
Tu Thak Kar Hum So Jaate The
Hum Kaise Pagal Hote The
i
Hum Kitne Pagal Hotay The
Hum Aaj Bhi Waise Pagal Hain
Per Phir Bhi Aksar Sochtay Hain
Hum Kaise Pagal Hote The