Ek Hi Samay Me Har Shakhs Ke Saath Kuch Alag Vayteet Hota Hai,
Koi Marta To Koi Jeeevit Hota Hai.
Kahin Koi Chaen Ki Neend Sota Hai,
To Koi Raat Bhar Rota Hai.

Koi Har Shaam Kawaali Sunta Hai,
To Koi Subah Se Shaam Tak Gali Sunta Hai.
Kahin Kalpataru Se Har Armaan Pure Hote Hain,
To Kahin Armaan-Aarjoo Aansoonon Me Jalte Hain.
Koi Makhmal Ke Kapde Me Nikalta Hai,
To Koi Nanga Chalta Hai.
Kisi Ki Yahan Gariyaan Chalti Hain’
To Kisi Ki Mushkil Se Nariyaan Hi Chalti Hain.
Kahin Kalam Sambhalti Hai,
To Kahin Bandook Chalti Hai.
Kahin Koi Padhna-Likhna Sikhta Hai,
To Koi Mar Kha Kar Dard Me Cheekhta Hai.
Koi Har Baar Kuch Naya Khata Hai,
To Koi Mutthi Bhar Aanaj Ko Taras Jata Hai.
Jab Hum Sab Ko Ek Hi Bhagwan Ne Banaya Hai,
To Khusi Aur Gam Ka Hishsa Sabka Barabar Kyon Nahi Aaya Hai.